(Note: This article is written in Hinglish, and requires the reader to know Hindi in addition to English)
Socha ek post Hinglish mai likh du. Whatapp aur baki saare apps pe dosto ke sath toh aise hi baatein hoti hai, toh phir iss blog pe kyu nahi.
Koi khaas aisa topic hai nahi mere pass. Saturday ko ek dost se baatein chal rahi thi, aur vo kisi baat pe mazak mai bola “Mai bada hone ke baad…” aur hass diya. Joke yeh tha ki bade toh already ho gaye hai, aur kitna bada hona baaki hai?
Usse milne ke baad jab ghar jaate jaate maine socha, akhir bade hue hi kab? Kab vo pal aaya zindagi mai jab hum sab bade ho gaye. Socha maine akhri baari “Bade hone ke baad…” kab kaha hoga.
Kuch khaas yaad nahi, par shayad college ke shuruvat ke saalon mai. Tabhi vo transition hota hai na, hum chahe jo vo kar sakte hai to humari placement hogi ya nahi. Shayad ussi wakt kaafi logo ke sapne chote ho jaate hai aur life ke boundaries thode jyada clear ho jate hai. Ussi ke sath responsibilities aa jati hai aur society ke set template pe zindagi aage badhti chali jaati hai.
Job, uske baad shadi, shayad bacche, agar naseeb hua toh ek acha ghar, gaadi. Bas yehi sab mai vo “bade hokar kya banana hai” wala savaal kahi dabb jata hai. Aur phir yuhi kabhi baaton baaton mai yaad aa jata hai vo saval, jo bachpan mai kitna aksar pucha jata tha.
Padhne ke liye shukriya!